Below are some cool Ghazals ...
****************************
Hum Nafs
Soul Mate Ghazal
Unki har baat dil lubhaati hai,
Har adaa , har khataa bhi bhati hai.
Dil mai.n mere khayaal aaye to,
Baat unki zubaa.n pe aati hai .
Paas baithe.n to aisa lagataa hai,
Jaise woh har janam ki saathi hai.n
Sab Mere haal par pareshaan hai.n
Ek woh hain ki muskuraati hai.n .
Geet meraa likhaa hi hai shaayad,
Woh jo haule se gun gunaati hai.n ,
Hai agar sakht woh usulo.n ki,
To meri neend kyo.n churaati hai.n .
Mere rabba mujhe bataa to zara,
Ishq karake bhi kyo.n chupaati hai.n .
****************************
Ishq
LoveGhazal
Tu ne yeh mashvara suna hai kya ?
Zindagi ishq ke siwaa hai kya !
Kaatali sab sazaye.n ab to bataa,
E sitamagar, mera gunah hai kyaa ?
Aah mehfil main naa nikalane di ,
Chhup ke rona bhi kuchh gunah hai kyaa?
Umr bhar na mila hai mujhako suku.n ,
Maut hi aakhiri panah hai kyaa ?
Ai mere jurm ginaane wale
Tere ghar koi aaina hai kya ?
Chaand itna udaas dhundhala tu ,
Mujhase ziyada, tanhaa hai kyaa?
Ajanabi se woh aaj baithe hain ,
Qatl ka yeh hi din chuna hai kyaa ?
*****************************
More Ghazals.....
**********************
Shikayat
Complaint Ghazal
Meri ghazal ko shikaayat hai mere shero.n se ,
Jude hue hai.n is Qadr kyo.n andhero.n se.
Mai.n chaahtaa to bahut tha ki us se baat karoo.n,
Woh is tarh se magar ghir gayi thi gairo.n se.
Gali ke mod tak to aagayi thi meri khushi,
Zaraa sa faasala bhi tai hua na pairo.n se.
Koi sawaal uthaaye to main jawaab bhi doo.n,
Nahiv to kaunsi zubaa.n boloo.n beharo.n se.
Har ek baat ka matalab nikaalata hai.n woh ,
Khudaa nijaat dilaa de ye shaq ke peharo.n se.
Jo ho rahaa hai tamaasha abhi to hone do,
Utaar denge ek din naqab chehro.n se.
Gale milo ki milo to zara khushi se milo,
Milaa hai kya kisi ko besabab ke bairo.n se.
Ki tikk gayi ho jab nazar kisiki manzil par,
Use hai wasta kya rasto.n ke dero.n se.
Hai LakhoN motiyo.n se keemati tumhari hansi.
Zara sambhal ke rakhanaa is lutero.n se.
.
******************************
Khwaab
Dreams Ghazal
Deewaro.n par jo tange hue hai.n,
Yeh khwaab kiske range hue hai.n.
Abhi abhi paunchhe tumane aansoo.n,
Abhi bhi dhabbe lage hue hai.n.
Yeh kiski baaho.n ki aarazu mai.n,
Tumhare sau rat-jage hue hai.n.
Kyon baadalo.n ko pukaratee ho,
Ye bolo kiske sage hue hai.n.
Woh 'Raj' kis se kare.n shikaayat,
Jo dil ke haatho.n thage hue hai.n.
********************************
|  |
Poems for u..........
************************
Kuchh log
Kuchh log bahut khaas hote hain !
Anaayaas apanepan kaa ehsaas hote hain,
Antarmann ko anuthaa vishwaas hote hain,
Jaane kyun dil khil uthataa hai,
Jab bhi woh aas paas hote hain.
Kuchh log bahut khaas hote hain !
*****************************
Ocean of love
An ocean of love for you,
In my heart,
Only for you..
It is deep,
And dense,
It is calm and true
Only for you ...
An ocean of love for you.
It has pearls,
It has gems,
It has magic too..
Only for you..
An ocean of love for you.
It is vast,
Many shores
Rocky coasts,
Green lands,
Sandy too..
Only for you..
****************************
Missing you
You know I am lonely
You know I miss you,
You know I yearn
To be with you
You know I cant's say
How much I need you
You know for sure
That I love you
You know that always
I count on you,
You know that I
seek only you.
You are ,my prayer
And you are my faith
Come back to me now,
before it's too late
*****************************
Here is a small kavita on the perfect wife . Hope you enjoy it .
Aisi apni Wife ho.................. 5'7" jiski height ho, Jeans jiski tight ho, Chehara jiska right ho, Weight mein thodi light Ho, Umar me difference slight ho, Thodi see wo quiet ho, Aise apni Wife ho. Sadak per sab kahe kya cute ho, Bhid me sab kahe side ho, side ho, INDIA ki paidaish ho, Sas(Mother in law) ki seva jiski khwahish ho Aisi apni Wife ho. Padosi jab baat kare to haath me knife ho, Dinner candle light ho, Dono me na kabhi fight ho, Milane ke baad dil delight ho, Hey prabhu teri aradhna uski life ho. Yeh kavita padhke sab kahe "Guru, tum right ho", Aise apni Wife ho. Kaash yeh concept 0.0001 percent bhi right ho Agar aisi apni wife hoto kya hasin life ho <BR!Har kisi ki yahi farmaish ho kudrat ki bhi aajmaish ho Khudah ke software mein bhi bug ki na gunjaish ho Ay kaash, kahin to ek aisi paidaish ho aisi apni wife ho.
**************************************
An angel of truth and a dream of fiction.. a Woman is a bundle of contradictions She's afraid of a wasp, Will scream at a mouse, But will tackle her husband alone in the house.
She'll take him for better, She'll take him for worse She'll break open his head and then be his nurse. But when he's well and can get out of bed. She'll pick up the tea-pot and throw it at his head.
Beautiful and keen sighted yet blind, Crafty and cruel, yet simple and kind. She'll call him a king and then make him a clown. Raise him on a pedestal, then throw him flat down.
She inspires him to deeds that ennoble man, Or make him her lackey to carry her fan. She'll run away from him and never come back But if he runs away she'll be on his tracks.
Sour as vinegar, sweet as a rose She'll kiss you one minute! , then turn up her nose She'll win you in range, enchant you in silk She is stronger than brandy, milder than milk
AT TIMES REVENGEFUL, MERRY AND SAD, SHE HATES YOU LIKE POISON, BUT LOVES YOU LIKE MAD.
**********************************
|

Some more.....
**************************
Obsession
Junoo.n Ghazal
Theharo magar ruko nahi.n tum thak ke kaam se,
Zinda har aik cheez hai koshish-e-natamaam se.
Kuchh josh ho junoo.n ho , ho jeetane ki zidd,
Dil main utthe ubaal sa, manzil ke naam se.
Kaanto.n se dosti ho, aur pathharo.n se pyaar,
Badhata hua nashaa ho , himmat ke jaam se.
Mud mud ke hi badhe hai.n, pahado.n pe raaste,
Har mod paar kar lo tum ibtisaam se.
Har shakhs main kamee hai, bande hain sab khuda ke,
Tum dostee banaalo har khaas-o-aam se.
***********************************
First sight
Pehali nazar Ghazal
Pehali Nazar mili to, bas tham gayi tithak kar,
Dil ne kahaa ki padh le, yeh hai tera muqaddar.
Khul kar mile bi naa the, ke door ho gaye hain,
Is baar pyaar doonga, mere yaar tujh ko jee bhar
Kuchh roz se naa nikale ham sair ko bhi kyonke,
Bagiyaa ke phool paudhe , tujhe poochate hai.n aksar
Ham ko to tum se koi shikawah nahin hai lekin,
Naaraaz hai.n zaraa se, tum se tumhaare zevar.
Itnaa naa yaad aa ke tujhe bhool jaayen ham,
Tasvir hi teri bas, ban jaaye meri dilwar.
****************************************
Night of Love
Shab-e-aashiqi Ghazal
Shab-e-aashiqi mai.n do dil yak jaan kiye hue,
Muddat hui hai yaar ko mehman kiye hue.
Saaqi teri sharaab bhi fiki lage ke aaj,
Hai pyaas un labon ki pareshaan kiye hue.
Qatil ke waar jaise jhonke hawaa ke hain
Darya-e-dil main mere toofaan kiye hue.
Aaye nahin hai ab to woh Gham gusaar bhi
Mujh par jo umr bhar the sayyebaan kiye hue
Laakhon hain har shahr main tu ek hi nahin
Husne badr pe dil ko Qurbaan kiye hue.
Mahfooz honge woh to aaghosh-e-ghair main
Hai tu hi zindagi ko bayaabaan kiye hue
Gham-e-aashiqi ki meri ghazalain hain Qeemati
Raahon main mat padho yun majmaa kiye hue
*************************************
|  |

Some more POEMS for u......
*******************************
Aasmanon main
Aasmanon main kabhi dekhaa hai tumane?
Aah koi sard neeli si basi hai.
Sun ke dekho to kabhi saagar ki baatain,
Dard par jaise bichha rakhi hansi hai.
Jangalon main chal ke dekho tum kabhi to,
Pedon ke peeche kashmkash chhup rahi hai,
In pahaadon ka bhi dil hotaa hai dekho,
Ek tamannaa jis main barson chup rahi hai.
Ghaav hone lagate hain phir se hare se,
Bhul jaao yaad mujh ko yun karo naa,
Udane lagate hain yeh armaan baaware se,
Tum mere khwaabon main yun aayaa karo naa.
Naa kaho, kuchh naa kaho, kuchh naa kaho naa !
*************************************
Mujhe
Mujhe kyaa pataa thaa ki baaton main apani
Koi le rahi thi nishaanon main apani
Kabhi maine sochaa bhi naa thaa ek din
Bithaa logi mujh ko nigaahon main apani.
Tanhaa raat bhar neend aati nahin hai,
Mujhe kab jagah dogi baahon main apani?
Jo apane hain meraa buraa chahate hain,
Meraa naam loge duaaon main apani?
Mere khat kahin dekh le naa zamaanaa
Chhupaa lenaa in ko kitaabon main apani.
**********************************
Teri khwaahish
Teri khwaahish thi e sanam barason,
Dil ki aatish hui na kam barason.
Muskuraanaa hi bhool baithe hain,
Gham ki gardish thi beraham barson.
Bhigi aankhain hain rooh bhi bhigi,
Aisi baarish thi har qadam barason.
Besabab ab naqaab kyun uss par
Jo numaaish thi besharam barason.
Raj karate hain karate jaayenge,
Aajmaaish teri qasam barason.
**********************************
|