Shayari's for U...
UFF YE DIL...

Home
Viewers Shayari..
Send your shayari...
UFF YE DIL...
Ghazals & Poems..
Hasna mana hai..
Specials of the Month
My Guestbook

In this section of my shayari world you will find some nice and cool shayari jo dil se talluk rakhti hai....jo dil ki nazakat ko shabdon main bayan karti hai....

Listen and feel the music while reading the shayari....

Just play the music....


arz kiya hai...

        

 

UFF YE DIL....                 

 

Shokki hein najakat hein , aankhoon mein shararat hein

Aisa bhi sharmana kya ,kah do ki mohabbat hein

Aah!!! kahne ki jaroorat kya,baaton ki hakeekat kya

chhalke na nigahoon se aisi bhi mohabbat kya!!!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Tapat Sooraj mein hoti hain

Tadapna sabko padta hain

kasoor aankhon ka hota hai

Tadapna dil ko padta hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Tu kaatil tera chehra kaatil

Chehre ka ye kala til bhi katil

bhool kar bhi kahin tum dekh na lena aaina

ki kahin mar na de katil ko katil

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Bikhari hui zulfoon ko girahgeer bana lo,

rakhna hai mujhe kaid to zanjeer bana lo

kaagaz pe lakeeren to bahut kheech lee tumne,

ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Dil ki bechaen umangon pe karam farmaao

Itna ruk ruk ke chalogi to quayaamat hogi.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Saamne baithe raho dil ko qaraar aa'aegaa

Jitnaa dekhenge tumheiN utnaa hi pyaar aa'aegaa

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

hosh vaalo.n ko Khabar kyaa beKhudii kyaa cheez hai

ishq kiijiye phir samajhiye; zi.ndagii kyaa cheez hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Mast nazaron se kyon dekha, gar tamanna thi aazmaane ki

hum to yoon hi ghayal they, kya zaroorat thi muskurane ki

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Chand agar nikal aaye,

to ye raat sunahi ho jaye

tum bhi gar aa jao kareeb,

to mausum aur bhi rumani ho jaye

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Yahi andaaz to bas unke sitam dhaate hain

Na wo rukte hain, na aane ki kasam khaate hain

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Khaas Likha Hai Khat Mein, Zara Ahista Boliyega

Bhej Raha Hoon Dil Apna, Zara Ahista Kholiyega

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Khuda jab husn deta hai

To nazaaqat aa hi jaati hai

Kitna bhi sambhalke rakho paer

Kamar bal khaa hi jaati hai !

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Sapney dekhta hain raat ko aashiqui ke,

Aur darta hain ki jaldi subah na ho

Mashooq dhoondta hain khoobsurat koi,

Par darta hain ki voh bewafa na ho

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Teri aankhon mein dekhi hai,

Pyar ki chahat humne,

Juban se ikrar kar lo,

to yakin ho jaye !!

 

 

 

 

 

 

 

  AASHIQUI KI HADD....                         

 

 

Dil diya aitbar ki had thi Jaan de di yeh mere pyar ki had thi

Mar kar bhi aankhen khuli rah gayi

Aur kuch nahi yeh tere intezar ki had thi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Mere Marne Ke Baad Mere Sene Se

Dil Nikal Lena

Kahi Woh Na Jal Jaaye

Jo Mere Dil Me Rehte Hai. (True love)

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Raat Ko Jalte Diye bhi Din mai Buj jaya Karte Hai

Aur ek hum hai; jo ki Tere Pyar Me Din Raat Jala Karte Hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Shaam hote hi chiragon ko bujha deta hoon

Yeh dil hi kaafi hai teri yaad main jalne ke liye

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Roz Taron kee numaa-ish mein khalal padta hai

Chand paagal hai andherey mein nikal padta hai

Unkee yaad aayee hai saanso zara ahista chalo

dhadkano se bhi Ibaadat mein khalal padta hai"

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Jis shaam mere lab per tera naam na aaye,

Khuda kare aisi shaam na aaye....

Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin,

Afsaana likhnu aur tera naam ma aaye.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par

Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Tu is tarah se mere dil main shamil hai

Jahan bhi jaoon lagta hai teri mahfil hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Chiraagon Ki Roshni Jab Zara Hili,

Laga Tumahari Ek Aahat Si Mili

Jaake Dekha Jab Dar Pe,

To Phir Wahi Kafir Hawa Mili

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Mere khuda mujhe thodi si zindagi dede

Udaas mere janaaze se jaa raha hai koi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

ye zaruurii nahii har shakhs masiihaa hii ho

pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaayaa na karo

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed

Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski sarhad

 

 

 

 

 

 

 

                           

 

 

Ho gayi hai mashoor bewafai kuch is kadar unki,

Zikar aaya mera mehfil main to jhuk gayi nazar unki.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Tumhari berukhi ne laaj rakh li maikhane ki,

Tum aankhon se pila dete, to paimane kaha jaate

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko

Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Har Inkaar Tere Ikraar Se Aacha Hoga

Mera Har Din Teri Us Raat Se Aacha Hoga

Na Ho Yakin To Jhaak Lena Apni Doli Se

Mera Janaza Teri Baarat Se Aacha Hoga

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Kayi Log honge Tere Zanaze Ke Peeche,

Par ek Mein Na hoonga Tere Zanaze Ke Peeche,

Aur mai honga Bhi Kaise Tere Zanaze Ke Peeche,

Jo Mera Zanazaa aa raha hoga Tere Zanaze Ke Peeche.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Hamse Kare Woh Pyar

Izhaar Kisi Aur Se Kare

Khuda Kare Jis Se Kare Woh Izhaar

Woh Bhi Pyar Kise Aur Se Kare

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Hal-e-dil likhna chahta tha mai khat mein,

kis tarah jal raha tha uski mohaabat mein

Do lafz likhte hi kalam huee kharab,

Isne bhi na saath diya ulfaat mein.....

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Mere Paas Se Woh Gujri Mera Haal Tak Na Pucha

Me Kaise Yakin Kar Lu Ki Woh Door Jakar Ke Roi.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Baat chalii teri aankhon se, jaa pahunchii paimaane tak

kheench rahi hai terii ufat aaj mujhe maiKhaane tak

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Zaroori to nahi ki koi gam bhi ho shaamil,

haan yoon bhi aksar nikal aate hai aasoon

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Wafa ka naam na lo yaron,

Wafa dil ko dukahati hai.

Wafa ka naam lete hi,

hume ek bewafa ki yaad Aati hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Hawa gharon mein kahan itni tez chalti hai

magar use to hamara diya bujhana tha

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Peete hain sharaab hum jinhe bhulane ke liye

wo hi aa jaate hain yaad hamen rulane ke liye

 

 

 

 

SAWAL JAWAB....

 

 

                           

 

 

na salaam yaad rakhna

na paigaam yaad rakhna

ho sake tho zindagi mein

hamara naam yaad rakhna

 

Kaun rakhta hai yaad naamo ko,

logh insaan ko bhool jaya karte hai.

tum samandur ke baat karti ho,

logh aankho mein doob jaya karte hai.

********************************************************************

 

dil ki haalat wo samjhe ki jisne chot khayee hai

ek baar nahi, kai baar, ye zahamat jisne uthai hai

jisko ab har shakhs nazar aata harjaai hai

jisne bas todne ke liye hi kasam khayee hai

tum kya jano muhabbat ki raah mein kitni ruswayi hai

tumhaari aankhon mein to bas TIDDI samayi hai

 

khakar ke do chot, janaab khud ko sayana samjhte hain?!,

lab pe nahi laate, magar aahen hum dil mein bharte hai,

ruswayi karna, pichli baato pe, nahi hai samajhdari,

badal de apne khayalaat, nahin to rah jayegi tu kuwari!!

 

mana ki dil toota hai kai baar lekin

humne kab kaha ki hum sayane hain

arre itna bhi nahi samjhe huzoor

hamdardi haasil karne ke bahane hain

 

hamdardi kar sakte hain woh,

khud ka dard jinka ho kam,

bedard na samjhna hamko tum,

apne bhi hai yaroon laakhon gam.

 

bedard hame samajhte hai wo par bedard hum hain nahi

humse apna hal-e-dil wo aakar kabhi kahen to sahi !!

 

sunane gaye the unhe haal-e-dil,

dard unka sunkar ro aaye magar.

********************************************************************

 

dekhte hai duniya ki aankhon se,

aashiqon ki yehi aadat kharab hai

dil ki aankhon se dekhe gar koi,

har haseen ko samjhna aasan hai

 

sochta hoon gar koi aisa raasta hota,

ki har haseen ko samajhna kuch aasan hota

to hota har shaksh aashique, sabka hota fasana

aur fir isque ki keemat na samajhta ye zamana

 

 

 

 

 

 galat fehmiyan...

 

                           

 

 

log kehte hein , wah kaise shabnam chhai hai,

unhe kya maloom, chand ne ro ke raat bitai hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Hein Chaand Tu Is Tarah Itrakar Na Dekh,

Humne Bhi Kayee Chand Dekhen Hein,

Tummhe To Daag Hein, Humne To BeDaag Dekhen Hein.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Jaane kitne armaan bevajeh aansuon mein dhal jaate hain

hota hai kabhi yoon bhi ke tabbasum se lub chhil jaate hain

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Raste main gire hain phool, Uthata hai koi koi

Muhabbat karte hain sabhi, Nibhata hai koi koi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Aye Dost tu itna badkalam na ho

ki kabhi karib se gujrae to dua-salam na ho

Dil mai haazaar gila shikva ho Magar Yeh nahi mumkin

Tum aao mere ghar mein aur ahitram na ho

Haazaar Dusmani Ho tumse,magar Khuda karen

Dil mein kabhi ahsaa..sen intekam na ho

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Dushmani jam kar karo magar ye gunjayish rahe

jab kabhi hum dost ho jaye to sharminda na ho

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Aey Dost:--

" Zindagi mein pyar tu bahut baar ho jaata hein

par Mohabbat sirf ek baar hooti hein.

Kyon tum Mohabbat ko Dosti ka naam dekar

mohaabbat aur dosti doono ko badnaam kar rahe ho"

" Vo jaanti hai ki tum jaante ho ki vo tumse pyar karti hai

to phir kyon Itrate ho, kahe us kali ko aise tadpaate ho"

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Mohabat Ka Naam Dekar

Sitam Izaad Kar Dalaa

Hasinou Ne Jise Chaha

Use Barbad Kar Dalaa

 

 

 

Banane mein mazaa hai wo karkhaane jaanthe hai

Pilane mein jo mazaa hai wo meh khaane jaanthe hai

Jalne mein jo mazaa hai wo  parwaane jaanthe hai

Arre yaaro pyar mein jo mazaa hai wo deewaane jaanthe hai

 

 

Hamhe to apnon ne mara

Gairon main kahan dham ta

Meri kashti doobi wahan

Jahan paaani kam tha

 

Us falak ke teer ka kya nishana tha

Jahan thee meri manzil wahin mera aashiyana tha

Bas pahunch hi rahi thi Kashti saahil pe

Is toofan ko bhi abhi hi aana tha

 

Jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu

Jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu

Magar teri bahti hui naak ne iraada badal diya....

 

 

Kyon apni qhabar khod raha hai Galib

Lao, phawda hamien de do !!

 

Ek Sher sunata hu bade dhyan se suno

Ek Sher sunata hu bade dhyan se suno

Mujhe Sher nahi aata kisi aur se suno

 

 

Duniya Se Jo Dare, Usse Kayar Kehte Hain,

Duniya Jisse Dare, Usse Shayar Kehte Hain,

Biwi Se Jo Dare, Usse Shohar Kehte Hain.

 

 

Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi josh ke sath!

Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi shor ke sath!

Aab hum pyar karenge badi soch ke sath !

Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath !

 

Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak

Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak

Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak

Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak

Hawa hi hawa hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~`


For any information contact webmaster Nitin Garg e-mail:explorenitin@rediffmail.com